Tera Hona

Kyuki main har bar haar jaata hu 
Tujhe bayan karne me...
Nakaam hai ye koshish mere izhaar ki tarah

Maine tujhe yunhi hawa me bola tha 
Ki main tujhpe kitaab likh sakta hu... 
Tu itni dilchasp hai

Ye khayal dharm ke lekhakon ko kyu na aaya
Shyad wo tujhe behtar likh paate
Shyad un pak kitabon ke saath tujhe bhi rakhte
Aur tujhe kholne se pehle chum lete

Taaki jab bhi koi tujhe kitab ke roop me bhi chume
To main khaakh ho jaata
Musalman hokar bhi jal ke raakh ho jaata

Kitna khush-naseeb hota 
Agar mujhe tera bulaya jaata 
Kisi ka dost bhai ya mashooq hone se behtar hai 
Tera hona..

Koi ek or shaqs kyu nhi banaya tere jaisa 
Siyahi khatam ho gayi thi ya uski taqat
Kaisa khuda hai? 
Lakhon nadiyan pahad banaye
Par tere jaisa ek aur na banaya

Ek aur bana deta to kya bigad jaata
Shyad fir mujhe do kitab likhni padti 

Comments

Popular posts from this blog

Andhkaar

Yaadon ke Darmiyan