Mai Likhna Nahi Jaanta
Agar mai likhna jaanta..
To mai ek kaahani likhta
Jahan tum mere zindagi me aate hi nahi
Bin baat mujhe dekh muskurate hi nahi
Jahan mai na kehta ki mujhe tumse pyaar hai
Aur tum bhi apne dil ki baat mujhe batate hi nahi
Ek kahani jahan hamari mulakat hi na hoti
Par fir.. hamari kahani ki toh kabhi shuruwat hi na hoti
To shayad ek aisi kahani..
Jahan meri god me tumhara sar hota
Aur tumhe thoda saa sabar hota
Jahan tum bhi mujhe pyaar karte
Aur wo pyaar amar hota
Ek kahani jahan tumhe bhi meri chaah hoti
Aur hamari mohabbat bepanah hoti
Jahan tumhe bhi wo pyaar dikhai deta
Jiski ye kavitayen gawah hoti
Jahan tum mujhe meri kami kabhi batate hi nahi
Mere hisse ka pyaar kisi aur ko jatate hi nahi
Jahan tum meri jagah kisi aur ko na dete
Kisi aur ke liye meri zindagi se jaate hi nahi
Par tum chale gye !
To ab in sab kahaniyon me mai nhi maanta
Ya to tumhe mujhse kabhi pyaar tha hi nhi..
Ya shayad mai likhna nhi jaanta
~ Fahmad
Comments
Post a Comment